Translate

Monday, March 30, 2015

YAADEIN

Ateet ki kitab se
kuch panne khol lati hai
kuch bhuli bisari yaadein hai
jo aksar yaad aati hai

chupa hua sa dard koi
fir se ched jati hai
kabhi khoyi hansi koi
fir se gudgudati hai

Mann ki shant nadi mein ye
kankad si gir jati hai
beete hue lamhoin ki
lehroin ko le aati hai

kabhi kisi khyal mein chupkar
dil ko tadpa jati hai
kabhi pyar ka choga odh kar
zakhmoin ko sehlati hai

kabhi kahi baat koi
gujare pal le aati hai
kabhi koi khushbu purani 
yaadein mehka jati hai

tanhapan ki saathi hai
ye chupke se aa jati hai
dil ke band darwazoin pe
dastak ek de jati hai

Ateet ki kitab se
kuch panne khol lati hai
kuch bhuli bisari yaadein hai
ji aksar yaad aati hai



5 comments: