Translate

Sunday, August 16, 2015

MERA HINDUSTAN

Mera desh meri jaan
Dharm yahi, hai mera imaan
Mera pyar aur meri chahat
Hai bas mera hindustan

Hai suraj ki thali yahan
Hai chanda ki pyali yahan
Kabhi eid kabhi diwali yahan
Aisa hai mera hindustan

Hai bindiya hai chunari ,payal
Hai saree hai mehendi, kajal
rangeela hai har sama
Yahi hai mera hindustan

Nadiya hai balkhati yahan
Panchi bhi itraye jahan
Hawaaein bhi khilkhil lehrati
Jahaan se pyara hindustan

Subah hai sunehri jisaki
Mandir mein bajti hai ghanti
Aur masjid mein ajaan
Diloin mein basta hindustan

Teri god mein liya janam
Teri mitti mein hue javan
Chahat dil ki hai yahi
Kadamoin mein tere nikale jaan