Translate

Wednesday, March 18, 2015

KHUSHI

Ae khushi tu reheti kahan
kis jagah hai thikaana tera
dar badar tujhey dhoondate hai
kahan hai aashiyana tera

pal do pal ko pass to aati
fir kahan tu chup jati
pass tujhey main rakhna chauin
kyu na kahin tu ruk pati

gam ke badal jab jab ghere
dar aankhoin se barasta hai
tab pal pal tujhse milane ko
dil har pal hi tarasta hai

bhar ke khud ko daman mein
moti ban aankh se girati hai
lehere gam ki aye toh
reti si haathoin se fisalti hai

kabhi bache ki hansi mein dikhati
kabhi maa ke aanchal mein
bansat ke phoolo mein khilati
kabhi chanchal bachpan mein

jalti dhoop mein saya hai tu
girte ka tu hai sahara
rote ko mila dilasa hai tu
patjhad mein tu hai bahara


ae khushi tu reheti kahan...

2 comments: