Translate

Saturday, February 28, 2015

KYUN


kyun hai mann mein
sawal kuch ankahe
kisse pooche inhe
kisse ja k kahe

kyun hai ateet ke
kuch nishaan dhule se
jinko dhoondate hue
hain khud ko bhoole se

jagti aankhoin se hardin
dekha tha vo ek sapna
toot gaya jab vo toh
kyun raha na kuch apana

bujhey armaano ki kabr pe
naya ashiyaan ban toh liya
par dil mein uthati kasak ko
kaise karein ham bayan 

bas chale ja rahe hai
dil mein liye viraaniya
jaane kitane fasle hai
khud se khud ke darmiyaan

kehete hain sab log yahi
hasta hai chehera ye sada
kabhi jhaank ke dekha hi nai
dil ki hakeekat hai kya

ab aankhoin par hai fir
kuch naye naye se khwab
shayad fir mil jaayein ab
un sawaaloin ke jawab

ab le li hai
zindagi ne nai disha
lagta hai is seher ki
na hogi ab nisha

Friday, February 27, 2015

KUCH KAMI HAI

Chand vahi hai sitare vahi hai
Par maa tera anchal nahi hai
Khushiya vahi hai bahare vahi hai
Par ye mann chanchal nahi hai


Dhoop vahi hai chaya vahi hai
Papa aapka saya nahi hai
Aapki god se hat kar mujhko
Chain kahin aya nahi hai


Rahein vahi h raste vahi hai
Par vo ghar le jati nahi hai
Yadeein vahin h baatein vahi hai
Par apano tak ja pati nahi hai


Teez wahi h tyohar wahi hai
Par unmein vo baat nahi hai
Jab inko manane ko
Privar ka koi saath nahi hai


Dard wahi h aansu vahi hai
Par unka ehsaas nahi hai
Kandhe pe rakh sar rone ko
Aapna koi pass nahi hai


Dil se sab hai saath magar
Milo ki ye doori hai
Apano ke pyar bina
Har khushi adhoori hai

ATEET KE PANNE


kash ateet ke panno ko
fir palat k padh pate
jo choot gaya hai peeche
usako fir se jee pate

kuch pyari sunhari yaadein
jin mein lab muskaye the
ya kuch vo udas palchin
jin mein aansu aaye the

gujare hue vo saare lamhein
ab ban gai jo yaadein hai
dil mein hain kahin chupi hui
ab, jo kal ki baatein hai

aasama ke gehere aanchal si
maa ki vo chunari dhani
kash fir se sun pate
 naani k vo kissi kahani


choti choti aankhoin se
dekhe hue vo bade sapne
jin se do pal mil liye
bann jate the vo sab apane

ndaani masumiyat bhara
apana vo chota sa jahan
kash laut ke ja pate ab
ham sab fir se vahan

gujara hua vo kal
laut ke fir na ayega
ab bas yaadein ban

khwaboin mein satayega

DARD


kisi ki aankhoin se
aansu bann beheta hai
kisi ki muskurahat ke
peeche se chillata hai

kisi ke zakhmoin ki daastan
khamoshi se sunata hai
ek dard hi toh hai
jo hardam saath nibhata hai

purani yaadoin ki nishani hai
beete lamhoin ki kahani hai
kisi k dil ki cheekh
toh kisi ki bejubani hai

kabhi tute rishtoin ki
bikhare spno ki chubhan hai
kahe alfaazoin ki chot
kabhi khamoshiyo ki ghutan hai


gazaloin mein chup kar
ye fir se jee jata hai
kisi kavi ke likhane ki
vajah bann jata hai

ye dard hi toh hai jo hardam saath nibhata hai...



MANN


kyuin reheta bechain mann tu
kya hai uljhan teri
kyuin tu ab tak samjh na paya
jeevan ki ye feri

Banvra sa fir raha kyuin
ghoom raha kyun dar badar
jaane kya dhoond raha tu
chod chaad apani dagar

kisi apane ki khushi dekh tu
bachche sa muskata hai
fir usako udas dekh tu
kyu aansu bahata hai

jaane hai tu samjhta bhi hai
dukh sang sukh bhi aata hai
fir teevra jhonko se tu
kyu vichalit ho jata hai
aapni pyas bujhane ko
karta tu darriya kyu talaash
armaano ke pankh laga ke
chuna chahate kyu aakash

mast nadee sa behta rehta
kyu kahin tu na thamta
besudh banjaro sa firta
jaise ho koi jogi ramta

tarah tarah se dhong rachata
fir bhi tu hi achcha hai
mujhko tu mujhse hai milata
kyuinki tu hi sachcha hai

kyuin reheta bechain mann to
kya hai uljhan teri
kyutu ab tak samjh nia paya
 jeevan ki feri