Translate

Monday, September 19, 2016

AMAR JAWAN

Cheekh utha tha dard se
Seena bharat maa ka tab
Khoon se bachcho ke apane
Ranga uska anchal jab

Beh nikali aansu ki dhara
Tut gai himmat bhi tab
Kandha jawan bete ko
Diya budhe baap ne jab

Nikal gai seene se jaan
Tham gaya tha waqt bhi tab
Nirjeev bete ko seene se
Lagaya bilakhti maa ne jab

Chudi tuti mit gaye rang
Khamosh ho gae sabke lab
Lipat tirange mein uska
Saathi laut ke aya jab

Nanhi jaan ko samjh na aaye
Papa usake kyu nahi aaye
Godi mein utha kr bitiya ko
Jhoola ab kaun jhulae

Kone mein ek behen khadi thi
Tofe raakhi ke dekh rahi thi
Gudiya senne se lagaye
Chupke chupke ro rahi thi

Dil bhara hai aankhein nam hai
Sabke ke dilmein ek hi gam hai
Kyun har baar jaan ko apani
Ek sainik hi khota hai
Kyun balidaan ke baad bhi
Insaaf kahin nahi hota hai

Tuesday, March 8, 2016

MAIN EK AURAT HUIN


kuch ne chaha kuch ne pooja
kuch ne beparvah rouind diya
fir bhi tere bikhare jeevan ko
hasate hue hai jod diya

kabhi tola dinaaro mein
kahin becha bajaaroin mein
baizzat mujhey kar chod diya
kai izzatdaroin ne

mere jida jal jaane ko tumne
sati kaha,balidaan kaha
tumne bas ek roti de di
aur usako bhi ehsaan kaha

gunahoin ki saare tumhare
mujhpe jimmedari hai
fir bhi tum ho kaise kehete
ye toh BAS ek NAARI hai

 tu bhi hai mujhse hi bana
tujhko janam mein deti hu
main maa huin,main hu behen
main biwi main beti hu

abala jisane samjha mujhko
ki galti ye bhaari hai
har ek aurat mein chipi hui
jhaasi wali raani hai

pyar ki murat huin main
jindagi ki surat huin
iss jag ki janani huin 
main ek aurat huin









Friday, February 19, 2016

DESH MERA YE ROYA HOGA

soch zara ae saathi mere
mera desh ye kitana roya hoga
jab bojh teri gaddari ka 
seene pe isane dhoya hoga

apani mitti se banaya tujhko
apane anchal mein pala hai
niswarth tujhey chahane ka
ye kaisa sila paya hai.

tukade tu karna chahe jisake
koi cheez nahi vo maa hai.
pehele hi jisane apana hissa
bewajha hi gawaya hai

isane hai tujhey abaad kiya
jisaki barbadi tu chahta hai
mat bhul ussi mitti mein apna
har sainik khoon milata hai

Ye desh mera meri jaan hai
tere haath ka khilona nahi
mat bhul teri gaddari se hum
nishabdh hai par nishastra nahi

bharat ki barbadi ko agar
har ghar se afzal nikalega
sanghar karne ko uska
ghar ghar se ashfaq nikalega