Translate

Friday, February 19, 2016

DESH MERA YE ROYA HOGA

soch zara ae saathi mere
mera desh ye kitana roya hoga
jab bojh teri gaddari ka 
seene pe isane dhoya hoga

apani mitti se banaya tujhko
apane anchal mein pala hai
niswarth tujhey chahane ka
ye kaisa sila paya hai.

tukade tu karna chahe jisake
koi cheez nahi vo maa hai.
pehele hi jisane apana hissa
bewajha hi gawaya hai

isane hai tujhey abaad kiya
jisaki barbadi tu chahta hai
mat bhul ussi mitti mein apna
har sainik khoon milata hai

Ye desh mera meri jaan hai
tere haath ka khilona nahi
mat bhul teri gaddari se hum
nishabdh hai par nishastra nahi

bharat ki barbadi ko agar
har ghar se afzal nikalega
sanghar karne ko uska
ghar ghar se ashfaq nikalega