Translate

Saturday, February 28, 2015

KYUN


kyun hai mann mein
sawal kuch ankahe
kisse pooche inhe
kisse ja k kahe

kyun hai ateet ke
kuch nishaan dhule se
jinko dhoondate hue
hain khud ko bhoole se

jagti aankhoin se hardin
dekha tha vo ek sapna
toot gaya jab vo toh
kyun raha na kuch apana

bujhey armaano ki kabr pe
naya ashiyaan ban toh liya
par dil mein uthati kasak ko
kaise karein ham bayan 

bas chale ja rahe hai
dil mein liye viraaniya
jaane kitane fasle hai
khud se khud ke darmiyaan

kehete hain sab log yahi
hasta hai chehera ye sada
kabhi jhaank ke dekha hi nai
dil ki hakeekat hai kya

ab aankhoin par hai fir
kuch naye naye se khwab
shayad fir mil jaayein ab
un sawaaloin ke jawab

ab le li hai
zindagi ne nai disha
lagta hai is seher ki
na hogi ab nisha

No comments:

Post a Comment